haqiqaton se kabhi inhiraf mat kije
qusur jis ka ho us ko muaf mat kije
kisi buzurg ke chehre pe kuchh nahin likkha
adab to kijiye us ka tawaf mat kije
KHata ho aap ki to kijiye ise taslim
KHata na ho to kabhi e'tiraf mat kije
muahida ho talluq ho inkisari ho
kabhi mizaj ke apne KHilaf mat kije
wo ghar ka raaz ho ya doston ki baaten hon
kisi pe un ka kabhi inkishaf mat kije
ghazal ishaaron kinayon ka nam hai 'gauhar'
ghazal mein baat koi saf saf mat kije
Ghazal
Haqiqaton se kabhi inhiraf mat kije
Gauhar Usmani