haqiqaton se hai duniya ko ehtiraaz bahut
ki hai mizaj-e-zamana fasana-saz bahut
tera ghurur-e-ibaadat tujhe na le Dube
suna hai paDhta tha iblis bhi namaz bahut
koi bhi fitrat-e-yazdan ka rakh saka na bharam
jo na-saza the wo kahlae pak-baz bahut
ye kah rahe the kal aawargan-e-kucha-e-yar
adaen aaj bhi us ki hain dil-nawaz bahut
unhen shuur-e-mohabbat nahin KHuda ki qasam
jo log hain teri mahfil mein sarfaraaz bahut
meri KHushi ka zamana hawa ka jhonka tha
mere ghamon ki rahi zindagi daraaz bahut
ye husn-o-ishq ka jauhar hai aur kuchh bhi nahin
wo KHud-pasand bahut hain main be-niyaz bahut
Ghazal
Haqiqaton se hai duniya ko ehtiraaz bahut
Jauhar Nizami