اردو हिंदी
Haqiqaton ko fasana nahin banati main | Shaahi Shayari
haqiqaton ko fasana nahin banati main

Ghazal

Haqiqaton ko fasana nahin banati main

zahraa Qarar

;

haqiqaton ko fasana nahin banati main
tumhaare KHwab se KHud ko nahin jagati main

wo faKHta ki alamat agar samajh jata
to us ke samne talwar kyun uThati main

janab waqai main ne kahin nahin jaana
wagarna aap ki gaDi mein baiTh jati main

phir ek-dam mere pairon mein gir gae kuchh log
qarib tha ki koi faisla sunati main

KHuda ka shukr ki wo raste se lauT gaya
agar wo aata to us ko kahan biThati main

kisi KHayal mein hathon se chhuT jate hain
ye jaan-bujh ke bartan nahin giraati main

wo dil ho ya meri guDiya ki maut ho jo ho
hamesha sog mein chulha nahin jalati main

main manti hun mera faisla ghalat nikla
tumhin batao ki pahle kise bachati main

mera badan kisi titli se kam nahin 'zahra'
to mar na jati agar tere hath aati main