haqiqaton ka pata de ke KHud sarab hua
wo mujh ko hosh mein la kar KHayal-o-KHwab hua
wo apne lams se patthar bana gaya mujh ko
visal us ka mujhe surat-e-azab hua
saron pe sab ke paDi hadson ki dhup magar
koi sarab bana aur koi sahab hua
azab sab ke mere jism-o-jaan pe naqsh hue
mera wajud mere ahd ki kitab hua
sukut-e-shahr-e-sitam se asir-e-yas na ho
ki yan sakun se hua jo bhi inqalab hua
wahi to ek hamara mizaj-dan tha 'razi'
jo hum se dur raha aur na dastiyab hua
Ghazal
Haqiqaton ka pata de ke KHud sarab hua
Razi Mujtaba