haqiqat se jo aashna ho gaya
quyud-e-hawas se riha ho gaya
nuqush-e-amal ko miTa kar koi
amir-e-tilism-e-dua ho gaya
wo qaid-e-tasawwur se aazad hai
latafat ka jo aaina ho gaya
tahi-damani se pasheman the hum
wo tar-damani par KHafa ho gaya
hai chehron pe kyun chhai pazhmurdagi
shagufta dilon ko ye kya ho gaya
jo KHud KHaliq-e-muddaa tha kabhi
wahi banda-e-muddaa ho gaya
'wafa' mai-kade ab na jae koi
wo rind-e-azal parsa ho gaya

Ghazal
Haqiqat se jo aashna ho gaya
Vafa Barahi