اردو हिंदी
Haqiqat mahram-e-asrar se puchh | Shaahi Shayari
haqiqat mahram-e-asrar se puchh

Ghazal

Haqiqat mahram-e-asrar se puchh

Altaf Hussain Hali

;

haqiqat mahram-e-asrar se puchh
maza angur ka mai-KHwar se puchh

wafa aghyar ki aghyar se sun
meri ulfat dar o diwar se puchh

hamari aah-e-be-tasir ka haal
kuchh apne dil se kuchh aghyar se puchh

dilon mein Dalna zauq-e-asiri
kamand-e-gesu-e-KHamdar se puchh

dil-e-mahjur se sun lazzat-e-wasl
nashat-e-afiyat bimar se puchh

nahin juz girya-e-gham hasil-e-ishq
hamari chashm-e-dariya-bar se puchh

nahin aab-e-baqa juz jalwa-e-dost
kisi lab-tishna-e-didar se puchh

fareb-e-wada-e-dildar ki qadr
shahid-e-KHanjar-e-inkar se puchh

fughan-e-shauq ko mane nahin wasl
ye nukta andalib-e-zar se puchh

tasawwur mein kiya karte hain jo hum
wo taswir-e-KHayal-e-yar se puchh

mata-e-be-baha hai sher-e-'haali'
meri qimat meri guftar se puchh