haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai
koi parde mein hota hai to chilman jagmagati hai
wo aae bhi nahin aur zindagi ki raat jati hai
sahar hoti hai aur sham-e-tamanna jhilmilati hai
sitaron ka sahaara le ke dharti baiTh jati hai
falak ko dekh kar jis dam gharibi muskuraati hai
main daman thamta hun aur ada daman chhuDati hai
mohabbat hai to kuchh be-gangi bhi pai jati hai
meri nakaami-e-gham zauq-e-hairani banati hai
ye duniya dur se meri nazar mein jagmagati hai
sukut-e-wasl ka lamha bhi kya bedar-KHwabi hai
mohabbat jagti hai aur jawani soi jati hai
wo jab sanjida hote hain ada angDai leti hai
wo jab KHamosh hote hain jawani gungunati hai
zamana hai ki dil-giri mein afsurda sa rahta hai
tabiat hai ki ghamgini mein jaulani pe aati hai
hawa-e-daman-e-nikhat-faza ka wasta tum ko
zara Thahro charagh-e-zist ki lau thartharaati hai
musalsal gulshan-e-hasti mein kanTe us ne boe hain
ye duniya phir inhin kanTon se kyun daman bachati hai
na gham fursat hi deta hai na aansu band hote hain
barasta ja raha hai meinh badli banti jati hai
yahi hasti 'nushur' ek roz hai anjam-e-hasti bhi
yahi duniya kisi manzil pe uqba ho ke aati hai
Ghazal
Haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai
Nushur Wahidi