haq wafa ke jo hum jatane lage
aap kuchh kah ke muskurane lage
tha yahan dil mein tan-e-wasl-e-adu
uzr un ki zaban pe aane lage
hum ko jina paDega furqat mein
wo agar himmat aazmane lage
Dar hai meri zaban na khul jae
ab wo baaten bahut banane lage
jaan bachti nazar nahin aati
ghair ulfat bahut jatane lage
tum ko karna paDega uzr-e-jafa
hum agar dard-e-dil sunane lage
saKHt mushkil hai shewa-e-taslim
hum bhi aaKHir ko ji churane lage
ji mein hai lun raza-e-pir-e-mughan
qafile phir haram ko jaane lage
sirr-e-baatin ko fash kar ya rab
ahl-e-zahir bahut satane lage
waqt-e-ruKHsat tha saKHt 'haali' par
hum bhi baiThe the jab wo jaane lage
Ghazal
Haq wafa ke jo hum jatane lage
Altaf Hussain Hali