اردو हिंदी
Haq-o-nahaq jalana ho kisi ko to jala dena | Shaahi Shayari
haq-o-nahaq jalana ho kisi ko to jala dena

Ghazal

Haq-o-nahaq jalana ho kisi ko to jala dena

Saail Dehlvi

;

haq-o-nahaq jalana ho kisi ko to jala dena
koi roe tumhaare samne tum muskura dena

taraddud barq-rezon mein tumhein karne ki kya hajat
tumhein kafi hai hansta dekh lena muskura dena

dilon par bijliyan girne ki surat gar koi puchhe
to main kah dun tumhaara dekh lena muskura dena

hui bijli se kis din naql andaz-e-sitamgari
tumhaari tarah sikha lakh us ne muskura dena

sitamgari ki talimen unhen di hain ye kah kah kar
ki rota jis kisi ko dekh lena muskura dena

takalluf-bar-taraf kyun phul le kar aao turbat par
magar jab fatiha ko hath uThana muskura dena

na kyun hum inqilab-e-dahr ko manen agar dekhen
gulon ka nala karna bulbulon ka muskura dena

na jaana na-tawani par ki ab bhi sai-e-naKHun se
dikha sakte hain hum zaKHm-e-kuhan ka muskura dena

tumhaare nam mein kya zafaran ki shaKH hai 'sail'
ki jo sunta hai is ko us ko sun kar muskura dena