اردو हिंदी
Haq-nawai ko zamane ki zaban kaun kare | Shaahi Shayari
haq-nawai ko zamane ki zaban kaun kare

Ghazal

Haq-nawai ko zamane ki zaban kaun kare

Samad Ansari

;

haq-nawai ko zamane ki zaban kaun kare
aisi talKHi ko 'samad' lazzat-e-jaan kaun kare

ab sar-e-dar wafaon ke liye kaun aae
chand KHwabon ke liye tark-e-jahan kaun kare

hum ne mana ki baDi chiz hai pabandi-waqt
sajda-e-shauq ko paband-e-azan kaun kare

waqt ki chap se gunji hai meri tanhai
waqt ki chap ko ab aur garan kaun kare

kaun unchi kare bujhte hue anfas ki lau
is andhere mein talash-e-rag-e-jaan kaun kare

shoala-e-fikr pe suraj ka guman hota hai
shoala-e-fikr ko mohtaj-e-bayan kaun kare

hum wo patthar hain ki saiqal ho to aaina banen
sang par mashk-e-fan-e-shisha-garan kaun kare

kaun dikhlae haqiqat ko 'samad' rah-e-majaz
hasil-e-dida-o-dil nazr-e-butan kaun kare