haq kisi ka ada nahin hota
warna insan se kya nahin hota
dil ka jaana to baat baad ki hai
dil ka aana bura nahin hota
kya hua dil ko muddaten guzrin
zikr-e-mehr-o-wafa nahin hota
husn ke hain hazar-ha pahlu
ek pahlu ada nahin hota
KHud pe kya kya wo naz karte hain
jab koi dekhta nahin hota
dil bujha ho to KHanda-e-gul bhi
chubhta hai jaan-fiza nahin hota
DhunDh lati hai ek shoKH nigah
lab pe jo muddaa nahin hota
KHun bahate hain be-gunahon ka
ye koi KHun-baha nahin hota
zindagi mein hain talKHiyan phir bhi
aadmi be-maza nahin hota
haq to 'hamid' ye hai ki haq ke siwa
koi mushkil-kusha nahin hota
Ghazal
Haq kisi ka ada nahin hota
Syed Hamid