haq jo manga to mere hath mein kashkol diya
aaj us ne mere ehsas ka dar khol diya
mere honTon ko saKHawat ke qaside de kar
har gali ja ke bajaane ko mujhe Dhol diya
chun ke har ek wafa aur murawwat meri
mujh ko tahqir ki mizan mein kyun tol diya
mere luqme pe nazar aise paDi thi us ki
zahr sa ek mere ehsas mein bas ghol diya
us ghaDi us ne meri zat se mangi hai najat
meri hasti ki har ek shan ko jab rol diya
ek lamhe mein badal Dali hai dil ki duniya
jaane kya us ki nigahon ne mujhe bol diya
jism mein ruh ki manind sama kar us ne
ahd-e-hijran ka mujhe tohfa-e-anmol diya

Ghazal
Haq jo manga to mere hath mein kashkol diya
Naqqash Abidi