haq fath-yab mere KHuda kyun nahin hua
tu ne kaha tha tera kaha kyun nahin hua
jab hashr isi zamin pe uThae gae to phir
barpa yahin pe roz-e-jaza kyun nahin hua
wo shama bujh gai thi to kohram tha tamam
dil bujh gae to shor-e-aza kyun nahin hua
wamandgan pe tang hui kyun teri zamin
darwaza aasman ka wa kyun nahin hua
wo shoala-saz bhi isi basti ke log the
un ki gali mein raqs-e-hawa kyun nahin hua
aaKHir isi KHarabe mein zinda hain aur sab
yun KHak koi mere siwa kyun nahin hua
kya jazb-e-ishq mujh se ziyaada tha ghair mein
us ka habib us se juda kyun nahin hua
jab wo bhi the gulu-e-burida se nala-zan
phir kushtagan ka harf rasa kyun nahin hua
karta raha main tere liye doston se jang
tu mere dushmanon se KHafa kyun nahin hua
jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main
jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua
Ghazal
Haq fath-yab mere KHuda kyun nahin hua
Irfan Siddiqi