haq bana baatil bana naqis bana kaamil bana
jo banana ho bana lekin kisi qabil bana
shauq ke laeq bana arman ke qabil bana
ahl-e-dil banne ki hasrat hai to dil ko dil bana
uqda to be-shak khula lekin ba-sad-diqqat khula
kaam to be-shak bana lekin ba-sad mushkil bana
jab ubhaara hai to apne qurb ki had tak ubhaar
jab banaya hai to apne lutf ke qabil bana
sab jahanon se juda apna jahan taKHliq kar
sab makanon se juda apna makan-e-dil bana
phir nae sar se junun-e-qais ki buniyaad rakh
phir nai laila bana naqa bana mahmil bana
ye to samjhe aaj 'azad' ek kaamil fard hai
ye na samjhe ek naqis kis tarah kaamil bana
Ghazal
Haq bana baatil bana naqis bana kaamil bana
Azad Ansari