hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai
laDki hai ki tarshe hue hiron ki laDi hai
sone ka ye andaz hai KHafgi ki alamat
chehra kiye diwar ki jaanib wo paDi hai
kohre mein ghiri sham ki Doli se utar kar
tanhai ki chaukhaT pe teri yar khaDi hai
dil umr ke qanun ka qail nahin warna
ehsas use bhi hai ki wo mujh se baDi hai
aaankhon mein tere gham ka hai hansta hua mausam
dil mein teri yaadon ki hari fasl khaDi hai
pabandi-e-auqat hui us se na hogi
har chand ki nazuk se kalai mein ghaDi hai
maqtul ko kar aae jahan dafn 'qamar' log
talwar bhi qatil ki wahin par to gaDi hai

Ghazal
Hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai
Qamar Iqbal