hanste hue man-bap ki gali nahin khate
bachche hain to kyun shauq se miTTi nahin khate
tum se nahin milne ka irada to hai lekin
tum se na milenge ye qasam bhi nahin khate
so jate hain footpath pe aKHbar bichha kar
mazdur kabhi nind ki goli nahin khate
bachche bhi gharibi ko samajhne lage shayad
ab jag bhi jate hain to sahari nahin khate
dawat to baDi chiz hai hum jaise qalandar
har ek ke paison ki dawa bhi nahin khate
allah gharibon ka madad-gar hai 'rana'
hum logon ke bachche kabhi sardi nahin khate
Ghazal
Hanste hue man-bap ki gali nahin khate
Munawwar Rana