hanste hue chehre mein koi sham chhupi thi
KHush-lahja taKHatub ki khanak nim chaDhi thi
jalwon ki ana toD gai ek hi pal mein
kachnar si bijli mere sine mein uDi thi
pita raha dariya ke tamawwuj ko shanawar
honTon pe nadi ke bhi ajab tishna-labi thi
KHush-rang maani ke taaqub mein raha main
KHatt-e-lab-e-lalin ki har ek mauj KHafi thi
har samt ram-e-haft bala shola-fishan hai
bachpan mein to har gam pe ek sabz-pari thi
sadiyon se hai jalte hue Tapu ki amanat
wo wadi-o-gul-rang jo KHwabon mein pali thi
jalte hue kohsar pe ek shoKH gilahri
munh moD ke gulshan se ba-sad naz khaDi thi
neze ki ani thi rag-e-anfas mein raqsan
wo taza hawaon mein tha khiDki bhi khuli thi
hum pi bhi gae aur salamat bhi hain 'amabar'
pani ki har ek bund mein hire ki kani thi
Ghazal
Hanste hue chehre mein koi sham chhupi thi
Ambar Bahraichi