hanste hanste bhi sogwar hain hum 
zindagi kis ke qarz-dar hain hum 
ruh par jism ka labaada hai 
is liye hi to saya-dar hain hum 
us ne dekha kuchh is ada se hamein 
hum ye samjhe ki shahkar hain hum 
hum ko itna gira paDa na samajh 
ai zamane kisi ka pyar hain hum 
aaj tak ye samajh nahin aaya 
jit hain kis ki kis ki haar hain hum 
ho kabhi waqt to ziyarat kar 
ai mohabbat tera mazar hain hum
        Ghazal
Hanste hanste bhi sogwar hain hum
Zia Zameer

