اردو हिंदी
Hanso to sath hansnegi duniya baiTh akele rona hoga | Shaahi Shayari
hanso to sath hansnegi duniya baiTh akele rona hoga

Ghazal

Hanso to sath hansnegi duniya baiTh akele rona hoga

Meeraji

;

hanso to sath hansnegi duniya baiTh akele rona hoga
chupke chupke baha kar aansu dil ke dukh ko dhona hoga

bairan rit baDi duniya ki aankh se jo bhi Tapka moti
palkon hi se uThana hoga palkon hi se pirona hoga

khone aur pane ka jiwan nam rakha hai har koi jaane
us ka bhed koi na dekha kya pana kya khona hoga

bin chahe bin bole pal mein TuT phuT kar phir ban jae
baalak soch raha hai ab bhi aisa koi khilauna hoga

pyaron se mil jaen pyare anhoni kab honi hogi
kanTe phul banenge kaise kab sukh sej bichhauna hoga

bahte bahte kaam na aae lakh bhanwar tufani-sagar
ab manjdhaar mein apne hathon jiwan naw Dubona hoga

jo bhi dil ne bhul mein chaha bhul mein jaana ho ke rahega
soch soch kar hua na kuchh bhi aao ab to khona hoga

kyun jite-ji himmat haaren kyun fariyaaden kyun ye pukaren
hote hote ho jaega aaKHir jo bhi hona hoga

'mira-ji' kyun soch satae palak palak Dori lahrae
qismat jo bhi rang dikhae apne dil mein samona hoga