hanso to rang hun chehre ka rowo to chashm-e-nam mein hun 
tum mujh ko mahsus karo to har mausam mein hun 
chaha tha jise wo mil bhi gaya par KHwab bhare hain aankhon mein 
ai mere lahu ki lahar bata ab kaun se main aalam mein hun 
log mohabbat karne wale dekhenge taswir apni 
ek shua-e-awara hun aaina-e-shabnam mein hun 
us lamhe to gardish-e-KHun ne meri ye mahsus kiya 
jaise sar pe zamin uThae ek raqs-e-paiham mein hun 
yar mera zanjiren pahne aaya hai bazaron mein 
main ki tamasha dekhne wale logon ke matam mein hun 
jo likkhe wo KHwab mere ab aankhon aankhon zinda hain 
jo ab tak nahin likh paya main un KHwabon ke gham mein hun
        Ghazal
Hanso to rang hun chehre ka rowo to chashm-e-nam mein hun
Obaidullah Aleem

