hanso na tum ruKH-e-dushman jo zard hai yaro
kisi ka dard ho apna hi dard hai yaro
dilon se shikwa-e-baham ko dur karne mein
lagega waqt ki barson ki gard hai yaro
hum ahl-e-shahr ki fitrat se KHub waqif hai
wo ek gharib jo sahra-naward hai yaro
jahan mata-e-hunar ki KHarid hoti thi
bahut dinon se wo bazar sard hai yaro
ajab nahin ki bayaban ke honT tar ho jaen
faza mein aaj samundar ki gard hai yaro
KHata kisi se hui ho koi bhi mujrim ho
jawab-dah to yahan fard fard hai yaro
KHayal-e-sud na adnesha-e-ziyan koi
'shamim' bhi koi aazad mard hai yaro

Ghazal
Hanso na tum ruKH-e-dushman jo zard hai yaro
Shamim Karhani