اردو हिंदी
Hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai | Shaahi Shayari
hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai

Ghazal

Hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai

Azhar Faragh

;

hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai
ye umr kab hamare kamane ki umr hai

le aai chhat pe kyun mujhe be-waqt ki ghuTan
teri to KHair baam pe aane ki umr hai

tujh se bichhaD ke bhi tujhe milta rahunga main
mujh se tawil mere zamane ki umr hai

aulad ki tarah hai mohabbat ka mujh pe haq
jab tak kisi ka bojh uThane ki umr hai

ghurbat ko kyun na main bhi shararat ka nam dun
diwar-o-dar pe phul banane ki umr hai

koi muzaiqa nahin piri ke ishq mein
waise bhi ye sawab kamane ki umr hai