hansna rona pana khona marna jina pani par
paDhiye to kya kya likkha hai dariya ki peshani par
mahngai hai dam milenge socha tha hum ne lekin
sharminda ho kar lauTe hain KHwabon ki arzani par
ab tak ujDe-pan mein shayad kuchh nazzaron laeq hai
warna jamghaT kyun umDa rahta hai is virani par
raat jo aankhon mein chamke jugnu main un ka shahid hun
aap bhale charcha kariye ab suraj ki tabani par
subh-sawera daftar biwi bachche mahfil ninden raat
yar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasani par
us ki sapnon wali pariyan kyun main dekh nahin pata
bachcha hairan hai mujh par main bachche ki hairani par
ek achhuta manzar mujh ko chhu kar guzra tha ab to
pachhtana hai KHud mein Dube rahne ki nadani par
hum fankaron ki fitrat se waqif ho tum to 'akhilesh'
maqsad samho ruk mat jaana bas lafzon ke mani par
Ghazal
Hansna rona pana khona marna jina pani par
Akhilesh Tiwari