اردو हिंदी
Hansna aah-o-fughan se sikha hai | Shaahi Shayari
hansna aah-o-fughan se sikha hai

Ghazal

Hansna aah-o-fughan se sikha hai

Ibn-e-Ummeed

;

hansna aah-o-fughan se sikha hai
ye hunar bhi jahan se sikha hai

har KHushi se nazar chura lena
ek ajab mehrban se sikha hai

dauD se KHud ko yun alag rakhna
manzil-e-be-nishan se sikha hai

sab se kahna KHushi ke aansu hain
ye bharam aastan se sikha hai

aise KHud ko aziyyaten dena
tu ne 'farruKH' kahan se sikha hai