hansi mein wo baat main ne kah di ki rah gae aap dang ho kar
chhupa hua tha jo raaz dil mein khula wo chehre ka rang ho kar
hamesha kuch o maqam apna raha hai KHizr-e-rah-e-tariqat
ruka to main sang-e-mil ban kar chala to aawaz-e-chang ho kar
na toDte aarsi agar tum to itne yusuf nazar na aate
ye qafila khinch lai sara shikast-e-aina zang ho kar
shabab o piri ka aana jaana ghazab ka pur-dard hai fasana
ye rah gai ban ke gard-e-hasrat wo uD gaya ruKH se rang ho kar
jo raaz dil se zaban tak aaya to us ko qabu mein phir na paya
zaban se nikla kalam ban kar kaman se chhuTa KHadang ho kar
ghazab hai bahr-e-fana ka dhaara ki mujh ko uljha ke mara mara
nafas ne maujon ka jal bun kar lahad ne kaam-e-nahang ho kar
mila dil-e-na-hifaz mujh ko to kya kisi ka lihaz mujh ko
kahin gareban na phaD Dalen janab-e-naseh bhi tang ho kar
jo ab ki mina-e-mai ko toDa chalegi talwar mohtasib se
lahu bhi rindon ka dekh lena baha mai-e-lala-rang ho kar
na zabt se shikwa lab tak aaya na sabr ne aah khinchne di
raha dahan mein wo qufl ban kar giraya chhati pe sang ho kar
samajh le sufi agar ye nukta hai ek bazm-e-sama-e-hasti
to nau-piyale ye aasman ke bajen abhi jal-tarang ho kar
bhala ho afsurda-KHatiri ka ki hasraton ko daba ke rakkha
bacha liya harzagi se us ne lihaz-e-namus-o-nang ho kar
jigar-KHarashi se pai fursat na sina-kawi se naKHunon ne
gala gareban ne ghunT Dala junun ki shorish se tang ho kar
badal ke duniya ne bhes sadha ise Daraya use lubhaya
kabhi zan-e-pir-zal ban kar kabhi but-e-shoKH-o-shang ho kar
uThe the talwar khinch kar tum to phir tammul na chahiye tha
ki rah gai mere dil ki hasrat shahid-e-tegh-e-darang ho kar
jo walwale the wo dab gae sab hujum-e-lait-o-lal mein 'haidar'
jo hausle the wo dil hi dil mein rahe daregh-o-darang ho kar
Ghazal
Hansi mein wo baat maine kah di ki rah gae aap dang ho kar
Nazm tabaa-tabaa.ii