hansi mein Tal to deta hun aksar
magar main KHush nahin barbaad ho kar
koi marta nahin zabt-e-fughan se
zara sa dagh paD jata hai dil par
likhi hai reg-e-sahil par jo main ne
wo chiTThi paDh nahin sakta samundar
jahan hum hain wahan sab daere hain
kisi ka koi markaz hai na mehwar
mujhe jaana hai wapas baadalon mein
nahin hona mujhe qatre se gauhar
mujhe kuchh der rukna chahiye tha
wo shayad dekh hi leta palaT kar
Ghazal
Hansi mein Tal to deta hun aksar
Anjum Khayali