hansi masum si bachchon ki copy mein ibarat si
hiran ki piTh par baiThe parinde ki shararat si
wo jaise sardiyon mein garm kapDe de faqiron ko
labon pe muskurahaT thi magar kaisi haqarat si
udasi pat-jhaDon ki sham oDhe rasta takti
pahaDi par hazaron sal ki koi imarat si
sajae bazuon par bazu wo maidan mein tanha tha
chamakti thi ye basti dhup mein taraj o ghaarat si
meri aaankhon mere honTon pe ye kaisi tamazat hai
kabutar ke paron ki reshmi ujli hararat si
khila de phul mere bagh mein paighambaron jaisa
raqam ho jis ki peshani pe ek aayat bashaarat si
Ghazal
Hansi masum si bachchon ki copy mein ibarat si
Bashir Badr