hansi labon pe sajae udas rahta hai
ye kaun hai jo mere ghar ke pas rahta hai
ye aur baat ki milta nahin koi us se
magar wo shaKHs sarapa sipas rahta hai
jahan pe Dub gaya meri aas ka suraj
usi jagah wo sitara-shanas rahta hai
guzar raha hun main sauda-garon ki basti se
badan pe dekhiye kab tak libas rahta hai
likhi hai kis ne ye tahrir reg-e-sahil par
bahut dinon se samundar udas rahta hai
main wahshaton ke safar mein bhi hun kahan tanha
yahi guman hai koi aas-pas rahta hai
main guftugu ke har andaz ko samajhta hun
ki meri zat mein lahja-shanas rahta hai
wo faslon mein bhi rakhta hai rang qurbat ke
nazar se dur sahi dil ke pas rahta hai
jab un se guftugu karta hai koi bhi 'ejaz'
ek iltimas pas-e-iltimas rahta hai
Ghazal
Hansi labon pe sajae udas rahta hai
Ejaz Rahmani