hansi ki baat ki us ne wahan bula ke mujhe
bahut rulaya kahani meri suna ke mujhe
har ek lamha mera KHauf ki giraft mein hai
muhafizon se bachaega kaun aa ke mujhe
kalam-e-fan se liya kaam us ne mujh se bhi
tabah apne adu ko kiya bacha ke mujhe
wo bagh bagh hua hai to be-sabab bhi nahin
mila hai kuchh to use KHak mein mila ke mujhe
tumhein KHabar hai ki sar par paDegi rakh tere
uDa diya hai faza mein jo yun jala ke mujhe
use banaya tha main ne baDi hi mehnat se
KHuda gawah ki wo bhi chala bana ke mujhe
use kaho ki hain hazir mazid dukh de le
bahut sukun mila hai agar sata ke mujhe
Ghazal
Hansi ki baat ki usne wahan bula ke mujhe
Saadullah Shah