hans ke paimana diya zalim ne tarsane ke baad
aaj nazuk se lab-e-saqi hain paimane ke baad
KHum-kadon mein kuchh na hoga ek paimane ke baad
rah nahin sakti kabhi mai-lab tak aa jaane ke baad
main hun saqi hai shab-e-KHalwat hai daur-e-jam hai
bose par bosa hai paimana hai paimane ke baad
waqt hai aisa tha ruKHsat ho gai un ki haya
baat hi aisi thi khul khele wo sharmane ke baad
chheDte hain pa ke mauqa un ke utre haar bhi
bante hain kyun dil hamara phul murjhane ke baad
husn ho ya ishq hoti hai buri dil ki lagi
jal-bujhi ro ro ke aaKHir shama parwane ke baad
kah ke main dil ki kahani kis qadar khoya gaya
hain fasanon par fasane mere afsane ke baad
be-KHudi gum-gashtagi sukr-o-tahayyur mahwiyat
kuchh maqamat aur bhi paDte hain maiKHane ke baad
dur tak shohrat hai us ki tur kahte hain jise
be-charagh ek jalwa-gah hai mere virane ke baad
koi hire ki kani se kam na tha hangam-e-zabt
kuchh hamein pina paDe aansu bhi gham khane ke baad
ishq ki tariKH dohrai zamane ne zarur
nam paya qais ne bhi tere diwane ke baad
shor hai rahna qayamat se bahut hi hoshiyar
un ke kuche se uThi hai Thokaren khane ke baad
taba ho bhi to kahin diwan mera ai 'riyaz'
dekhne ki chiz hoga ye sanam-KHane ke baad
Ghazal
Hans ke paimana diya zalim ne tarsane ke baad
Riyaz Khairabadi