hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya
wo KHud pila rahe the main lahra ke pi gaya
tauba ke TuTne ka bhi kuchh kuchh malal tha
tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya
saghar-ba-dast baiThi rahi meri aarzu
saqi shafaq se jam ko Takra ke pi gaya
wo dushmanon ke tanz ko Thukra ke pi gae
main doston ke ghaiz ko bhaDka ke pi gaya
sadha mutalibaat ke baad ek jam-e-talKH
duniya-e-jabr-o-sabr ko dhaDka ke pi gaya
sau bar laghzishon ki qasam kha ke chhoD di
sau bar chhoDne ki qasam kha ke pi gaya
pita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam'
saqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya
Ghazal
Hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya
Abdul Hamid Adam