اردو हिंदी
Hans diye zaKHm-e-jigar jaise ki gul-ha-e-bahaar | Shaahi Shayari
hans diye zaKHm-e-jigar jaise ki gul-ha-e-bahaar

Ghazal

Hans diye zaKHm-e-jigar jaise ki gul-ha-e-bahaar

Suhail Kakorvi

;

hans diye zaKHm-e-jigar jaise ki gul-ha-e-bahaar
mujh pe mail hai bahut nargis-e-shahla-e-bahaar

be-KHayali hai KHayal-e-ruKH-e-zeba-e-bahaar
bas yahi aarzu-e-dil hai ki aa jae bahaar

mast in surKH nazaron mein nazar aae bahaar
aatish-e-soz-e-mohabbat se jo jal jae bahaar

misl-e-majnun nazar aaya mujhe sauda-e-bahaar
saj ke aai hai mere samne laila-e-bahaar

jab wo gulshan mein sanwarti hai barasti hai sharab
jab wo bahke to zamane ko bhi bahkae bahaar

jhum kar phul ruKH-e-yar pe hote hain fida
kaif-e-nazzargi-e-husn se lahrae bahaar

kashish-e-rang-e-mohabbat se wo aaya hai yahan
ai KHuda ab mere ghar se na kabhi jae bahaar

moajiza main ne ye dekha tere lab par aksar
muskurahaT mein nihan barq-e-tajalla-e-bahaar

meri aankhon mein utar aai hai taswir teri
meri aankhon se zara dekh tamasha-e-bahaar

aaina dil ka 'suhail' aaina-e-shauq hai bas
us ki masum nigahi se na sharmae bahaar