hans de to khile kaliyan gulshan mein bahaar aae
wo zulf jo lahraen mausam mein nikhaar aae
mil jae koi sathi har gham ko suna Dalen
bechain mera dil hai pal bhar ko qarar aae
madhosh hua dil kyun bechain hai kyun aankhen
hun dur mai-KHane se phir kyun ai KHumar aae
khil jaengi ye kaliyan mahbub ke aamad se
jis rah se wo guzre gulshan mein bahaar aae
jin jin pe inayat hai jin jin se mohabbat hai
un chahne walo mein mera bhi shumar aae
phulon ko sajaya hai palkon ko bichhaya hai
ai baad-e-saba kah de ab jaane bahaar aae
bulbul mein chahak tum se phulon mein mahak tum se
ruKHsar pe kaliyon ke tum se hi nikhaar aae
Ghazal
Hans de to khile kaliyan gulshan mein bahaar aae
Salim Raza Rewa