hangamon ke qaht se khiDki darwaze mabhut
aangan aangan nach rahe hain sannaTon ke bhut
bojhal aankhen pathrile lab ujDe hue ruKHsar
sab ke kandhon par rakkhe hain chehron ke tabut
alag alag KHud hi kar legi lamhon ki mizan
kis ko fursat kaun gine ab bure-bhale kartut
chamak rahe hain mayusi ke tez nukile dant
dil ke chaurahe par zaKHmi ummiden mabhut
haal se ab samjhauta kar ke taza-dam ho lo
mustaqbil tak Dho na sakoge mazi ka tabut
Ghazal
Hangamon ke qaht se khiDki darwaze mabhut
Sultan Akhtar