اردو हिंदी
Hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai | Shaahi Shayari
hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai

Ghazal

Hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai

Mehboob Rahi

;

hangama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai
ehsas mein hai jitni bhi halchal lahu se hai

shadabiyan usi ki badaulat hain ruh mein
hai regzar-e-jism jo jal-thal lahu se hai

sabit hua ki deta hai tu ye bhi aag si
sabit hua ye soz-e-musalsal lahu se hai

KHake sabhi adhure hain sab naqsh na-tamam
duniya mein jo bhi kuchh hai mukammal lahu se hai

qaem hai us se aariz-e-gulgun ki dilkashi
rangin ruKH-e-hayat ka aanchal lahu se hai

danishwari lahu se mili ek shaKHs ko
ek aur shaKHs hai ki jo pagal lahu se hai

'rahi' wagarna zehn hai tarikiyon ka ghar
raushan KHayal-o-fikr ki mashal lahu se hai