اردو हिंदी
Hangama kyun bapa hai zara baam par se dekh | Shaahi Shayari
hangama kyun bapa hai zara baam par se dekh

Ghazal

Hangama kyun bapa hai zara baam par se dekh

Ajiz Matvi

;

hangama kyun bapa hai zara baam par se dekh
shole buland hote hain ye kis ke ghar se dekh

bikhren na ye zamin pe kahin chashm-e-tar se dekh
palkon tak aa gae hain jo chal kar jigar se dekh

ai dost pairwi-e-kalimana hai abas
jalwon ko us ke tu nigah-e-motabar se dekh

yun sar uTha ke dekh na tu jaanib-e-falak
ye taj-e-tamkanat na gire tere sar se dekh

is tarah hai ghamon ko mere dil se rasm-o-rah
jis tarah rabt rakhte hain sae shajar ke dekh

apni nazar se dekh tahi-dasti-e-sadaf
dariya ka zarf kya hai ye chashm-e-guhar se dekh

insan hadsat se kitna qarib hai
tu bhi zara nikal ke kabhi apne ghar se dekh

'ajiz' ye qaul apne buzurgon ka yaad rakh
rasta kabhi na chhoDna dushman ke Dar se dekh