hangama hai na fitna-e-dauran hai aaj-kal
har samt sham-e-amn farozan hai aaj-kal
sunne mein aa rahe hain masarrat ke waqiat
jamhuriyat ka husn numayan hai aaj-kal
jo ghuncha hai wo apne tabassum mein mast hai
jo phul hai bahaar-ba-daman hai aaj-kal
nazron mein iztirab na dil mein koi khaTak
kanTon se pak sehn-e-gulistan hai aaj-kal
muddat ke baad aaya hai aazadiyon ka lutf
afsurda hai na koi pareshan hai aaj-kal
ab ahl-e-karwan ka bhaTakna bahaal hai
KHud mir-e-karwan hi nigahban hai aaj-kal
jis anjuman mein jate na the pahle ahl-e-dil
'sheri' us anjuman mein ghazal-KHwan hai aaj-kal
Ghazal
Hangama hai na fitna-e-dauran hai aaj-kal
Sheri Bhopali