hangama garm hasti-e-na-paedar ka
chashmak hai barq ki ki tabassum sharar ka
main jo shahid hun lab-e-KHandan-e-yar ka
kya kya charagh hansta hai mere mazar ka
ho raaz-e-dil na yar se poshida yar ka
parda na darmiyan ho jo dil ke ghubar ka
us ru-e-tabnak pe har qatra-e-araq
goya ki ek sitara hai subh-e-bahaar ka
hai ain-e-wasl mein bhi meri chashm su-e-dar
lapka jo paD gaya hai mujhe intizar ka
pahunchega tere pas kabutar se pesh-tar
maktub-e-shauq uDa ke tere be-qarar ka
ho pak-damanon ko KHalish gar se kya KHatar
khaTka nahin nigah ko mizhgan ke KHar ka
bujhne ki dil ki aag nahin zer-e-KHak bhi
hoga daraKHt gor pe meri chinar ka
dekh apne dar-e-gosh ko aariz se muttasil
dekha na ho sitara jo subh-e-bahaar ka
puchhe hai kya halawt-e-talKHaba-e-sarishk
sharbat hai bagh-e-KHuld-e-barin ke anar ka
hai dil ki dao ghat mein mizhgan se chashm-e-yar
hai shauq us ki TaTTi ki ojhal shikar ka
qasid likhun lifafa-e-KHat ko ghubar se
ta jaane wo ye KHat hai kisi KHaksar ka
ai 'zauq' hosh gar hai to duniya se dur bhag
is mai-kade mein kaam nahin hoshiyar ka
Ghazal
Hangama garm hasti-e-na-paedar ka
Sheikh Ibrahim Zauq