hangama-e-KHudi se tu be-niyaz ho ja
gum ho ke be-KHudi mein aagah-e-raaz ho ja
had bhi to chahiye kuchh be-e'tinaiyon ki
ghaarat-gar-e-tahammul taskin-nawaz ho ja
ai sarmadi tarane har shai mein soz bhar de
ye kis ne kah diya hai paband-e-saz ho ja
ghairat ki chilmanon se aawaz aa rahi hai
mahw-e-niyaz-mandi aa be-niyaz ho ja
aa mil ke phir banaen mai-KHana-e-mohabbat
main jura-kash banun tu paimana-saz ho ja
sine mein soz ban kar kab tak chhupa rahega
unwan-e-raazdari tafsil-e-raaz ho ja
ab so chuki ummiden ab thak chukin nigahen
jaan-e-niyaz-mandi masruf-e-naz ho ja
soz-e-nazar se chhalken naghmat-e-raaz-e-hasti
ai uqda-e-taghaful rudad-e-naz ho ja
'ehsan' kash uTThen ye rang-o-bu ke parde
ai mahfil-e-haqiqat bazm-e-majaz ho ja
Ghazal
Hangama-e-KHudi se tu be-niyaz ho ja
Ehsan Danish