hangama-e-hasti se guzar kyun nahin jate
raste mein khaDe ho gae ghar kyun nahin jate
mai-KHane mein shikwa hai bahut tira-shabi ka
mai-KHane mein ba-dida-e-tar kyun nahin jate
ab jubba-o-dastar ki waqat nahin baqi
rindon mein ba-andaz-e-digar kyun nahin jate
jis shahr mein gumrahi aziz-e-dil-o-jaan ho
us shahr-e-malamat mein KHizar kyun nahin jate
tosha nahin koi nasim-e-sahari ka
be-rahila o zad-e-safar kyun nahin jate
shayad ki shanasa ho koi be-hunari ka
kyun Darte ho bazar-e-hunar kyun nahin jate
har lahza hai jo sar ke liye ek nai Thokar
us zillat-e-har-roz se mar kyun nahin jate
hum jis ke liye zinda hain ba-haal-e-pareshan
ab wo bhi ye kahta hai ki mar kyun nahin jate
kyun gosha-e-KHalwat se nikalte nahin 'aslam'
baiThe hain jidhar log udhar kyun nahin jate
Ghazal
Hangama-e-hasti se guzar kyun nahin jate
Aslam Farrukhi