hangam-e-hawas-kar mohabbat ke liye hai
hai jo bhi kashakash wo nadamat ke liye hai
jina to alag baat hai marna bhi yahan par
har shaKHs ki apni hi zarurat ke liye hai
milne tujhe aaya hun na milne ke liye hi
aamad ye meri asl mein ruKHsat ke liye hai
aaKHir ko yahi kar-gari-e-barf pighal kar
maujon ke tawassul se hararat ke liye hai
main hath na aane ka hun tere ai zamane
yani mera hona teri hasrat ke liye hai
main nind ka dar khole hue hun teri KHatir
har KHwab mera teri sahulat ke liye hai
wo hai ki nazar aata nahin aur kisi ko
wo hai ki faqat meri basarat ke liye hai
qudarat hi ko manzur hai kuchh aur wagarna
har lamha-e-ainda qayamat ke liye hai
imkan ne jo shahr basaya hai wahan par
har chashm-e-tamasha nai hairat ke liye hai
Ghazal
Hangam-e-hawas-kar mohabbat ke liye hai
Khaavar Jilani