اردو हिंदी
Hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi | Shaahi Shayari
hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi

Ghazal

Hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi

Zaheer Kashmiri

;

hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi
wo aaenge to gardish-e-dauran bhi aaegi

niklegi bu-e-zulf hamari talash mein
sahra mein ab hawa-e-gulistan bhi aaegi

wo jin ko apne tark-e-talluq pe naz tha
aaj un ko yaad sohbat-e-yaran bhi aaegi

hum KHud hi be libas rahe is KHayal se
wahshat baDhi to su-e-gareban bhi aaegi

tai ho chuka hai sud-o-ziyan ka moamla
zaKHm aaenge to lazzat-e-paikan bhi aaegi

DhunDhegi sar-barahna hamein dasht-e-hijr mein
ek din junun mein ghairat-e-jaanan bhi aaegi

ai rah-naward-e-ishq sambhal kar qadam baDha
is raste mein zulmat-e-hijran bhi aaegi

wo barq jo hudud-e-nazar se pare rahi
wo barq ab qarib-e-rag-e-jaan bhi aaegi

kaT jaega ye karb-e-shab-e-gham bhi ai 'zahir'
shubh-e-nashat-o-fasl-e-nigaran bhi aaegi