اردو हिंदी
Hamla-awar koi aqab se hai | Shaahi Shayari
hamla-awar koi aqab se hai

Ghazal

Hamla-awar koi aqab se hai

Saqi Faruqi

;

hamla-awar koi aqab se hai
ye taaqub mein kaun kab se hai

shahr mein KHwab ka riwaj nahin
nind ki saz-baz sab se hai

log lamhon mein zinda rahte hain
waqt akela isi sabab se hai

ham-KHayalon ke mashrabon ka zawal
KHauf se jabr se talab se hai

shola-baron ke KHandan se hun
ruh mein raushni nasab se hai