hamin the jaan-e-bahaaran hamin the rang-e-tarab
hamin hain bazm-e-mai-o-gul mein aaj mohr-ba-lab
wahi tujhe bhi nazar aae be-adab jo log
faqih-e-shahr se uljhe teri gali ke sabab
KHayal-o-fikr ke phir silsile sulag na uThen
ki chubh rahi hai dilon mein hawa-e-gesu-e-shab
bas ek jam ne rindon ki aabru rakh li
wagarna kam na tha waiz ka shor-e-ghaiz-o-ghazab
chalo kali ke tabassum ka raaz puchh aaen
gulon ke qafile chal den chaman se jaane kab
abhi se dhaDkanen KHamosh hoti jati hain
ajib hoga saman wo bhi tum na aaoge jab
hamein hi tab-e-samaat na ho saki 'rahat'
fasana-KHwan ne to chheDa tha zikr-e-ahd-e-tarab
Ghazal
Hamin the jaan-e-bahaaran hamin the rang-e-tarab
Ameen Rahat Chugtai