hamin tak rah gaya qissa hamara
kisi ne KHat nahin khola hamara
paDhai chal rahi hai zindagi ki
abhi utra nahin basta hamara
muafi aur itni si KHata par
saza se kaam chal jata hamara
kisi ko phir bhi mahnge lag rahe the
faqat sanson ka KHarcha tha hamara
yahin tak is shikayat ko na samjho
KHuda tak jaega jhagDa hamara
taraf-dari nahin kar pae dil ki
akela paD gaya banda hamara
taaruf kya kara aae kisi se
usi ke sath hai saya hamara
nahin the jashn-e-yaad-e-yar mein hum
so ghar par aa gaya hissa hamara
hamein bhi chahiye tanhai 'shaariq'
samajhta hi nahin saya hamara
Ghazal
Hamin tak rah gaya qissa hamara
Shariq Kaifi