hamin pe tang ye waqt-e-rawan hua to kya
daraaz aur bhi kar-e-jahan hua to kya
ye surKH talwe ye tanhai aaKHiri hichki
ab is se aage koi karwan hua to kya
ye raste hain buzurgon ki KHak se raushan
so main bhi chal ke yahin raegan hua to kya
yahan to shahr hi aatish-fishan ki zad par hai
jo apne sine mein thoDa dhuan hua to kya
ghurur yun hai ki us ke gadagaron mein hun
barae KHalq main shah-e-jahan hua to kya
hamin ne di thi jagah us ko apni palkon mein
wo zarra aaj jo koh-e-giran hua to kya
jo kar saka na kisi taur mutmain KHud ko
sawal uThta hai mojiz-bayan hua to kya
tamam log samaat se ho gae mahrum
tab apna lahja ghazal ki zaban hua to kya
'nadim' aankh mein aansu hai sare aalam ka
watan hamara jo hindostan hua to kya
Ghazal
Hamin pe tang ye waqt-e-rawan hua to kya
Nadeem Fazli