hamin par dhup barsata hai suraj bhi muqaddar bhi
daraKHt-e-mehrban koi kare saya to hum par bhi
ayan hoti chali jati hain sab chehre ki tahriren
hui jati hai na-kafi KHamoshi ki ye chadar bhi
badan ki raushni mein jo na dekha ja saka hum se
usi shishe ke paikar mein dhaDakta tha wo patthar bhi
haqiqat se tasawwur tak safar mujh mein kiya us ne
magar mujh tak nahin pahuncha wo itni dur chal kar bhi
koi musa-o-isa-o-mohammad ab na aaega
hamare na-tawan shanon pe hai kar-e-payambar bhi

Ghazal
Hamin par dhup barsata hai suraj bhi muqaddar bhi
imtiyaz Khan