hamin nashad nazar aate hain dil-shad hain sab
hamin is daur mein barbaad hain aabaad hain sabab
KHaksaron se bhala itni kudurat kya hai
ek daman ke jhaTakne mein to barbaad hain sabab
shikwa ab kya hai tujhe kahte na the hum ai dil
jin ke talwar se abru hain wo jallad hain sab
uqde khul jaenge aghyar ke rafta rafta
hamin zulfon ke giraftar hain aazad hain sab
un hasinon mein bura kis ko kahun kis ko bhala
mujhe diwana banane ko jo tayyar hain sab
aastin dida-e-giryan se juda ho kyunkar
nahin bhule kisi chitwan ke maze yaad hain sab
kis ke kakul nahin shanon pe khule rahte hai
dam-bar-dosh mere waste sayyaad hain sabab
koi sunta nahin fariyaad kisi ke bulbul
kahne ko jitne hain gul-gosh be-fariyaad hain sab
dasht-gardi hi dawa mujh ko agar sauda hai
KHar jangal ke nahin nashtar-e-fassad hain sab
shama roti hai to is bazm mein sar kaTta hai
dadras koi nahin bar-sar-e-bedad hain sab
na to raftar bure aur na guftar bure
jitni us shab mein adaen hain KHuda-dad hain sab
sadqe ruKH par hun ki qurban qad-e-zeba par
ghairat-e-gul mein ye but ghairat-e-shamshad hain sab
nsibatan farq nahin ek hain abna-e-jahan
ek hai un ki aur ek bap ki aulad hain sab
us ki diwar se sar phoD rahe hain aashiq
rashk-e-shirin hai wo but ghairat-e-farhad hain sab
dil-lagi kis se karun 'bahr' ki ji chhuT gaya
mehr-pesha nahin koi sitam-ijad hain sab
Ghazal
Hamin nashad nazar aate hain dil-shad hain sab
Imdad Ali Bahr