hamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
yaqin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
mere KHayal ko chori kiya kiya so kiya
zamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
makan banate rahe baam-o-dar sajate rahe
makin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
asir aam se chehre ke ho ke baiThe hain
hasin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
baja ki hath ko thama baja liya bosa
jabin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
tha zikr mujh ko bhulane ka han hi bol diya
nahin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne

Ghazal
Hamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
Sarwat Mukhtar