hamin hain jinhen ishq hai bankpan se
hamin hain jo uljhen hain dar-o-rasan se
kisi jism ka husn hai pairahan se
kahin pairahan KHud saja hai badan se
ye mana hai jannat bahut KHubsurat
magar KHubsurat na hogi watan se
gulon ne churaya tera husn-e-rangin
moattar faza hai tere pairahan se
na tesha na sar kaam aaya wafa mein
sada aa rahi hai ye ju-e-laban se
taDap kar na mar jae bulbul qafas mein
na le jae gul koi gulchin chaman se
raqibon se sargarm hai un ki mahfil
faqat 'nur' hai dur us anjuman se
Ghazal
Hamin hain jinhen ishq hai bankpan se
Noor Mohammad Noor